“Bhulna mushkil hoga, lekin koshish karungi” sikha ne bolke phone rakh diya. Ise jyada bolna mushkil tha. Jab Mann udas ho, aur dil bhar aaye, tab bolna mushkil ho jata hai.
Pyaar karna aasan hai, nibana mushkil, aisa sikha bolti thi.
Sikha sab se alag thi, filme Dekhne ka shauk aur filmi baatein karne ki aadat. Yahi uski pehchan thi. Isi shauk ne usko gaon se dur mumbai aane ko majbur kiya.
Waise toh Mumbai woh Naukri ke liye aayi thi, lekin sach bole toh usko zindagii jeena tha. Mumbai ki ek advertising agency main sikha content writer ka job karti thi, is kaam ek fyada yeh tah, ki usko filmi duniya ke sath Milne ka mauka milta tha.
Mumbai ki yahi baat achi hai, subah office shaam ko party,
Aisi ek party main usko Rajiv mila, rajiv junior director tha. Kuch serial kiya tha usne, lekin kuch bada karne ka sapna tha, film director banna tha usko.
Sikka ke team rajiv ke serial ka promotion ka kam karti thi.
Kam ke dauran rajiv aur sikha ke beech achi dosti ho gayi thi. Dosti aur pyaar kab ho jata hai pata hi nahi chalta.
Sikha ne Rajeev ko shaadi ke liye propose kiya, Rajeev mana kaise karta. Woh bhi pyaar karta tha, aur sikha ke sath baki zindagi beetana chahta tha. Dono ne ghar main bat ki, ghar wale ne bhi manjuri de di.
Shaadi ka din aane wale the, sab khush the, tayari ho gayi thi, lekin shaadi hui nhi.
Us din ke beetein 5 saal ho gaye hai, aaj Rajeev ne phone kiya, ” sikha kaisi ho, mujko bhul jana” sikha ne kaha ” bhulna mushkil hoga koshish karogi”
Shaadi Wale din, Rajeev shadi ke mandap mein aaya nahi tha, sikha ne najane kitne phone kiya the. woh jaise gayab ho gaya tha. Aaj 5 saal bad usne phone kar ke keh diye, muihe bhul jana.
Sikah ke papa ne Rajeev ko kidnap kar liya tha, jab usko hosh aaya woh pagal Khane main tha, waha se bahar aane main 5 saal lag gaya.
Rajeev sika ko bolne wala tha, Kya hua tha uske sath, ki usko koi galti nhi hai. isliye phone kiya tha.
Lekin bol na ska. Sikha ke papa ab is duniya main nhi thi, Sikka ne shaadi kar li thi. Ab sach bol ke koi fyada nahi hai, yeh bat usko pata hai.
Kisine sach kaha hai, mohabbat karna alag hai, aur nibana alag hai.
Sikha ke papa ko brain hamerage hua tah, unko unke paap ka fal mil gaya tha. Lekin kya yeh kahani bas itni hi thi.
Read free books at Project Gutenberg
My Other Short Stories

Ek Naya Safar

Pyaar Ka Pehla Lesson

Bhulna mushkil Hoga
