Kahi toh hogi
Kahi toh hogi…
Kahi toh hogi woh,
Mujhe samje jo, mujhse thoda zyada.
Jo kahaniyan sirf sune na,
Unka hissa bhi ho.
Chae main kuch na kaho,
Phir bhi samje sab,
Chupi ki wajah talashe,
Aankhon main meri.
Dil toota hai, bikhra nahi,
Sameta ja sakta,
Samete woh, uchalne ki jagah.
Bheed main Tu akela nahi,
Kahe jo ek bar, hath pakad kar mere.
Manzil tak sath de, Chae Manzil na ho.
Bhatka jo kabhi, sawal na kare,
Daraaro ki maramat kare,
Hathode se war na kare
Kahi toh hogi, Jo puche main kya chaeta hu.
Apni sunane ke pehle.
Jo rishte main shart na rakhe,
Na badlane ki koshish kare mujhe.
Na jane kab ayegi woh.
Na jane kaha hai woh.
Mile tumhe kabhi,
Yeh kavita sunana usko bhi..