Kitne din bad aaya hai,
Ab tak kha tha,
Kyun chala gaya,
Bina bole tu.
Sab kehte mujhe,
Chor gaya hai tu,
Lekin main janti thi,
Ek din aayega tu.
Ab jo aaya hai,
Ab na jana tu.
Thodi der baith paas,
Suna apni thoda,
Thoda main bhi bolo.
Acha tune bataya nahi,
Kyun gaya tha tu.
Acha itna tu bol,
Ab tak kaha tha tu.
Na koi call na koi text,
Itna gussa tha tu,
Mujhse toh sab kehta,
Yeh kyun chupaya.
Sab kehne laga,
Chor gaya hai tu,
Lekin main janti thi,
Ek din aayega tu.
Subah ka gaya, shaam ko aaya,
Chalo mana ki aaya,
lekin thodi deri se aaya.
Aya bhi toh aaj aaya,
Meri shaadi main aaya.
Main kethi thi na
Ki aayega tu,
Ek din aayega tu.
Related: Tere sheher mein Log hai
Affiliate Disclaimer:
This post may contain affiliate links. If you purchase through these links, we may earn a small commission at no extra cost to you. We only recommend tools and products we genuinely find useful.